Sunday, 15 April 2012

meri ankhon main

meri ankhon main ummad aaya hai darya dil ka
phir kahin toot gaya ho na kinara dil ka 

bus muhabbat se riwayat hai kahani dil ki 
char harfon se ibarat hai fasana dil ka 

us ne dali hi nahin bheek nazar ke aur main 
liye ankhon main kharra reh gaya kaasa dil ka 

saans rukti hai tau phir jaan ka khayal aata hai 
dil dharakta hai tau lag jata hai dharhka dil ka 

issi koshish main buhat umar ganwa di main ne 
phir bhi poora na huwa mujh se khasaara dil ka 

meri payaab tamanna’in batati hain mujhay 
sookh jaye ga koi roz main darya dil ka 

badli badli si sada deti hai dharkan dil ki 
hijr main aur hi ho jata hai lehja dil ka 

kiyun na aye dost abhi tark-e muhabbat kar lain 
iss se pehlay ke badal jaye iraada dil ka 

fikr-e-dunya main mere dil ko bhulanay walay 
teri dunya se ziada hai asaasa dil ka 

us ki ankhon ne kaha chupke se, khul ja sum sum 
khul gaya ain ussi waqt dareecha dil ka 

ishq katay ga abhi aur chatanain "sagar"

No comments:

Post a Comment