Tuesday, 6 March 2012

Qasmein khate the kabhi saath

Qasmein khate the kabhi saath mein chalne ke liye
Ab haiN beechen alag rah nikalne ke liye

Wo to nazuk hai ke chandni meiN jhulse hai
MeiN musafir hooN kaDi dhoop meiN chalne ke liye

PalkeN bichhaye teri raah meiN din guzra
Ab to aaja ke chali sham bhi Dhalne ke liye

Ek arse se hooN shamma bujhaye huye
Dil ko chhoDa hai teri yaad meiN jalne ke liye

Teemardari to mulahja ho qadar danooN ki
Teyyar rakha hai namak zakhmoN pe malne ke liye

Ab chaman ko khizaoN ki zaroorat kya hai
Khud baghbaaN nikla hai kaliyoN ko kuchalne ke liye

Gulab samjha tha meiN nishani-e-muhabbat
Woy eh samjhe ke diya phool masalne ke liye

No comments:

Post a Comment